Skip to main content

Featured

हैप्पी लोहड़ी शायरी 2024 - Happy Lohri Shayari 2024

इस लोहड़ी पर सबसे प्यारी शायरी से दें अपनों को हार्दिक शुभकामनाएं लोहड़ी पर्व भारत में प्रसिद्ध है और पंजाब, हरियाणा, हिमाचल प्रदेश और दिल्ली में धूमधाम से मनाया जाता है। यह पर्व मकर संक्रांति के पूर्व शाम को मनाया जाता है, जब सूर्य अपने उत्तरायण में प्रवेश करता है। इसे अग्नि का पर्व भी कहा जाता है, जिसमें लोग आग के आसपास इकट्ठा होते हैं , नाचते-गाते हैं और रात भर जलती हुई आग के आसपास मिलकर खाने-पीने का आनंद लेते हैं। इस त्योहार का महत्व है फसलों की फसल को समर्पित करना और धन की बरक्कत के लिए धन्यवाद देना। The Lohri festival is celebrated with great enthusiasm in Punjab, Haryana, Himachal Pradesh, and Delhi in India. This festival is observed on the eve of Makar Sankranti when the sun enters its northward journey. Also known as the festival of fire, people gather around bonfires, sing and dance, and enjoy food and drinks throughout the night. The significance of this festival lies in dedicating it to the harvest of crops and expressing gratitude for the blessings of wealth. इस से पहले क

Wo Hamari Mehfil Me Aaye - Hindi Shayari

वो हमारी महफिल मे आऐ..
आ कर हमसे बात नही की..
दिल को युँ लगा..
हमसे कुछ छुपाऐ बैठे है..
कसम प्यार की हमसे रहा ना गया..
करीब जा के देखा तो..
महंदी किसी ओर के नाम की लगाऐ बैठें है

Comments

  1. kya khoob zamane ki wafa dekhte rahe
    hum har baat me apni khata dekhte rahe
    yu to zamane ne badle bahut rang
    hum to bas uski zafa dekhte rahe
    mushkilo me thi zindagi hamari
    hum to bas halato ka maza dekhte rahe
    apne kehne ko to bahut mile
    magar hum to uska ehsas dekhte rahe
    yu to chahat ka samundar tha hamare pas
    hum to kisi ke milne ki aans dekhte rahe
    or kya bataye hum KHUSHNUMA
    hum to aapko pane ki aans dekhte rahe

    ReplyDelete
  2. mat puchna khafa hone ka sabab mujhse.kese kese khele h qismat ne khel mujhse
    kese chupau dard apna kese toot gya mera sapna
    kya ab kuch bhi theek nhi hoga mera koi ajeez nhi hoga
    kon si kalam se khuda ne mera naseeb likha h,nhi qismat me koi habeeb likha h
    kya kabhi khushi ke pal naseeb nhi honge.kya zindagi ke sare pal aise hi honge
    do pal ki khushi mangi thi sirf khuda se sabki khushi mangi thi apni dua me
    saza kyu milti h bekasoor ko.dard hi kyu milta h gamo se choor ko
    kash koi deta hamare sawalo ke jawab. wo pal hote bahut laa jawab
    dukh iska nhi ki logo ne jeene na diya. afsos to ye h ki apno ne bharosa nhi kiya

    ReplyDelete
  3. hairaan or pareshan hum rehne lage
    jab log apna keh kar daga dene lage
    hame naaz h khud par ,hum khuddari se mar to gye
    par afsos log khudgarzi se bhi jee na sake

    ReplyDelete
  4. na samjho ki hum bahut khush h apni zindagi me
    ye khush rehne ka nakaab to apno ki khushi ke liye laga liya
    varna khud ko to humne barso pehle.kahi veerane me dafna diya

    ReplyDelete
  5. dua h aap yu hi muskuraye
    phool kahi khile to khushboo aapse aaye
    khuda aapko pahuchaye us mukaam tak
    ki har musalman bhai ke aap kaam aaye

    ReplyDelete
  6. kya khoob nazara aaj ki hawao me dekha
    machal uthi ghata jab usne fizao ko dekha
    ajeeb aalam tha us waqt ka
    jab aapne hame or humne aapko dekha

    ReplyDelete
  7. agar kisi ko hamari shayri achchi lage to plz batana ki hum kesa likhte h
    hame shayri likhna achcha lagta h
    koi h hamara dost jo hame bataye

    ReplyDelete
  8. You are the best blogger ever i have seen see more movie update on http://guruofmovie.blogspot.in/

    ReplyDelete
  9. thanks ji hame batane ke liye pata h hame likhne ka bahut shok h hum apne jasbat kagaz par hi bayan kar lete h thanks ,

    ReplyDelete
  10. KIS TARHA KARU MAI AAPKA SHUKRIYA ADA
    ZAMANA REHTA H MUJHSE KHAFA
    NHI SAMAJHTA KOI MERI BAAT
    SAMAJHTE H SAB MUJHE BURA

    ReplyDelete
  11. Samjha tha begana apna mana hi kab tha
    khushnuma ke dard ko tumne pehchana hi kab tha
    hamesha sabne galat samjha use jana hi kab tha
    uske liye sab huye paraye kisi ne apnaya hi kab tha
    tarap tarap ke sabse karti rahi minnate
    chhor diya tumne bhi hath thama hi kab tha
    pachtawe ke gar tumhari aankho me aansu bhi aa gye
    guzar gya wo zamana ab wo zamana hi kab tha
    chheen li sabne uske hotho se muskaan
    ab khushnuma ki hasi me wo muskurana hi kab tha

    ReplyDelete
  12. khuwahisho ko chhor kar kabhi jee kar dekhna
    kisi ke diye huye zakhmo ko kabhi see kar dekhna
    hamari har baat tumhe samajh aa jayegi
    aasma ke aansuo ko kabhi pee kar dekhna
    gar fir bhi kisi jawab ki tumhe hasrat reh jaye
    to kabhi khushnuma ka naam gunguna kar dekhna
    ka samajh sako gar matlab hamari baato ka
    to tanhai me jakar kabhi khud ko jee bhar ke dekhna

    ReplyDelete
  13. khushnuma naam h mera mai har pal khush hu
    meri khushi ka kya h mai tumhari khushi me khush hu
    agar mera dil dukha kar sabko khushi milti h
    shok se dukhao dil mai isme bhi khush hu
    dua to kisi ne di nhi mai baddua me bhi khush hu
    kya hua gar mujhse aanshiyana cheen liya sabne
    mai sabki khushi ke liye jungle me bhi khush hu
    k.khan

    ReplyDelete
  14. thank you very much every one
    k.khan
    or baad me likhenge jab ye or padh kar hame batana ok
    thanks

    ReplyDelete
  15. kuch meethe pal kuch dukh bhari dasta
    manzil to mil gyi par kho gya rasta
    kuch waqt or h sanse
    fir is duniya se kya vasta
    aankhe band ho jayengi
    or khatam hogi dasta

    ReplyDelete
  16. aaj fir koi apna mujhse rooth gya
    fir koi apna mujhe tanha chhod gya
    haalat aise the ki hum kuch keh na sake
    waqt aisa tha ki wo kuch sun na sake
    zindagi me ek baar fir haar gye hum
    or waqt se huye fir laachar hum
    fir se hamare sar se saya uth gya
    ek baar fir waqt hame dhoka de gya

    ReplyDelete
  17. you deserve million likes for this wonder ful updates,,,

    ReplyDelete
  18. Jab laga seene pe teer tab hume itna dard nahi hua, ghalib,
    Zakham ka ehsas to tb hua jb kamaan apno k hath me dikhi

    ReplyDelete
  19. Shayari to hum bhi likha karte hai...bas fark etna hi..humari shayari nasha jaydaa hota hi....

    ReplyDelete
  20. Wo kehti hai suno jaana,
    Mohabbat moum ka ghar hai,
    Tapish-e-bud-gumani ki,
    Kahin pighla na de is ko?

    Main kehta hoon,
    Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
    Wahan kuch aur ho to ho,
    Mohabbat ho nahi sakti,

    Wo kehti hai sada aise he,
    Kia tum mujh ko chaho ge?
    K main is main kami koi bhi,
    Gawara ker nahi sakti,

    Main kehta hoon,
    Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
    Mujhe tum se mohabbat k siwa,
    Kuch b nahi aata,

    Wo kehti hai,
    Judai se bohat darta hai mera dil,
    K khud ko tum se hat ker dekhna,
    Mumkin nahi hai ab,

    Main kehta hoon,
    Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
    Magar sach hai mohabbat main,
    Judai saath chalti hai,

    Wo kehti hai,
    Batao kia mere bin jee sako ge tum?
    Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
    Bhula do ge?

    Main kehta hoon,
    Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
    Ager ek pal ko bhi sochon to,
    Saansen rukne lagti hain,

    Wo kehti hai tumhen mujh se,
    Mohabbat is qader kyon hai?
    K main ek aam si larrki,
    Tumhen kyon khaas lagti hon?

    Main kehta hoon,
    Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
    Meri dewaangi kyon hai,
    Ye khud he jaan jao gi,

    Wo kehti hai,
    Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
    K main khud ko bohat,
    Qeemti mahsoos kerti hoon,

    Main kehta hon,
    Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
    Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
    Mahsoos kerta hoon,

    Wo kehti hai,
    Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
    K tumhen bata sakon,
    K dil main mere kitni mohabbat hai,

    Main kehta hoon,
    Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
    Tumhari khamoshi mujh se,
    Tumhari baat kerti hai,

    Wo kehti hai,
    Batao na kiss ko khone se darta ho?
    Batao kon hai wo jise,
    Ye mousam bulate hain?

    Main kehta hoon,
    Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
    Zara dekho batao kia,
    Tumhen is main nazar aaya?

    Wo kehti hai,
    Atif jee bohat baaten banate ho,
    Magar sach hai ye baaten,
    Bohat he shaad rakhti hain,

    Main kehta hoon,
    Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
    K pal kuch zindagani k,
    Tumhare saath kat jayen,

    Phir us k baad khamoshi ka,
    Dilkash raqs hota hai,
    Nigahen bolti hain aur,
    Lub khamosh rehte hain

    ReplyDelete

Post a Comment